Dil ka ek kona reh gaya Tha bedaag
Kaanton kankaron se bacha Kar bedhadak chal rahi thi main
Ki kaunsa Naya Dard ya ghav ise choo payega.
Afsos ki iski ijazat nahi hoti jab pyar ho jata hai
Uske roothne maƱane se befikr thi main.
Kabhi socha nahi Tha ki in sab baaton se aage kuch hoga
Ki woh nahi hoga.
Fir kya hoga
Usi se puchna hoga ki kya hoga ab mera
Is dil ka, jo Chot khane ki aadat me Tha, use
Bulaa bitha Kar mehman nawazi se do baatein bolkar phuslaya
Fir kaha ab zarurat nahi Hai aapki.
Kyunki tum pyar bohot karte ho.
Sabse karte ho.
Aur sirf mujhse nahi karoge. Mere Banke rahoge.
Haan yahi toh hun main.
Isi Sach ke saath tumne pasand Kiya Tha
Aur ab Haq ye Hai ki bardasht nahi Hota tumhe
Mera Sach. Aur mujhse tumhara Haq.
No comments:
Post a Comment